Monday, February 06, 2006

Dear Blog,

I have been ignoring you for sometime and I am sorry for that. For a change I am posting a poem by Faiz so enjoy :)

Yeh Haseen Sham apni
abhi jis me Ghul rahi hai
terey paerihan ki khushboo
abhi jis mein khiL rahi hai
merey khuwab key shagufay
zara daer ka hai manzar

Zara daer mein ufaQ peh
khiLey ga koi sitara
terii simat dekh kar wuh
karey ga koi ishara
terey dil ko aaye ga phir
kisii yaad ka bulawa
koi qissa-e-judaii
koi kaar-e-naa'mukamaL
koi khwab naa'shugafta
koi baat kahney walii
kisii aur aadmii sey

Hamein chahiye tha milna
kisee ahd-e-mehrban mein
kisee khwab ke yaqeen mein
kisee aur aasman par
kisii aur sar-Zameen par!


Faiz Ahmad Faiz

2 Comments:

Blogger ordered-chaos said...

:@ koi acche nai mille the jissay parh ke khushe hoti :@

February 07, 2006  
Anonymous Anonymous said...

khair hai? I hardly see you around. Weekend per milo foren!

Zahid

February 09, 2006  

Post a Comment

<< Home